Kya jawab doon jab koi puche khush toh ho na tum?
kya jawab doon jab koi puche tum pe khuda itna meherbaan kaise hai?
kya jawab doon jab koi puche hamesha chehre pe muskurahat kaise banaye rakhti ho?
kya jawab doon jab koi puche itni raunak kaise hai zindagi mein tumhare?
kaise jawab doon...
jab main khud asmanjas mein padd jati hu
jab main khud ye sochne pe majboor ho jati hu
ki kya sahi mein maine zindagi ki baazi jeet li hai?
kya sahi mein chot khane ke baad bhi
uth ke ladna seekh liya hai maine?
kya sahi mein har oonchai tak pahuchne ki taqat hai mujh mein?
kahi aisa toh nahi in nadaan logon se bhool ho gayi ho?
kahi aisa toh nahi ki mera chehra
in naqabon ke bojh tale dab gaya ho?
kahi aisa toh nahi ki zindagi ki is bhaag daud mein
maine khud ko kahi kho diya ho?
phir yakeen aata hai ki shayad yeh woh mukaam hai
jahan maine zindagi se dosti kar li hai aur kaanto ko gale lagaya hai
shayad maine khud ko paa liya hai
shayad is bheed mein mujhe woh sukoon mil gaya hai
jiski mujhe hamesha se talash thi..
Monday, May 21, 2018
Subscribe to:
Comments (Atom)