Yun phirta hai tu darbadar
kis chaah mein hai teri zindagi ka safar
na ye tu samajh paaya tha, na samajh paaya hai
par jald hi aayega woh pal
jab tera maksad hoga safal
milegi tere jeevan ko nayi disha
milegi tujhe jeene ki woh wajah
tab tak tu kar bharosa USPAR
jisne likha hai tera yeh safar
woh andhero mein roshni bhi dikhlaega
musibato mein raasta bhi bnayaega
ladkhadaya hai tu toh chalna bhi sikhaega
woh tujhe teri manzil tak pahuchaega
reh befikar, aage badh nidarr
woh har kadam par tera saath nibhaega
woh tujhe teri manzil tak pahuchaega..
maana raasta hai katthin par andheron mein bhi tu timtimaega
aage badh nidarr tujhe woh raasta dikhlaega
hongi khushiyan tere bhi jeevan mein
sapno ko haqiqat bhi banaega woh
bas kar bharosa uspar jisne likha hai tera yeh safar..